Friday, August 5, 2011

Ramazan Lyrics

Aaya Ramzan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina

Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
kash Aqa main bhi dekh leta bahar-e-Ramzan-e-Madina

Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina

Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina

kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina

Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina

Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana

Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina

Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina

Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina

Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina

Nahi mal o zar to kya hain main gareeb hoon yehi na
mere ishq mujhko le chal tu janibe madina madina.

Ramazan Lyrics

1. Shor-e-mah-e-nau sun kar tujh tak main dawaaN aaya
Saqi main tere sadqay, mai day, Ramazan aaya!

2. Is gul kay siwa har phool baagosh giraaN aaya
Dekhe hi gee ay bulbul jab waqt-e-faghaaN aaya

3. Jab baam-e-tajjali par woh naiyyar-e-jaaN aaya
sar thaa jo gira jhuk kar, dil thaa jo tapaaN aaya

4. Jannat ko Haram samjha aatay to yahaaN aaya
Ab tak kay har aik ka munH kehta hoon kahaaN aaya?

5. Taiyyiba ke siwa sab baagh paamaal-e-fanaa hongay
Dekho gay chaman walo jab ahd-e-khizaaN aaya!

6. Sar aur woh sang-e-dar, aankh aur woh bazm-e-noor
Zaalim ko watan ka dhyaan aaya to kahaaN aaya

7. kuchh naat ke tabqay ka aalam hi niraala hai
sakta mein paRee hai `aql,chakkar mein gumaaN aaya!

8. jalti thi zameen kaisee thi, dhoop kaRee kaisee
lo, woh qad-e-bay-saaya ab saaya-kinaaN aaya!

9. Taiyyiba se hum aatay hain kehiye to jinaaN waalo
Kya dekh kar jeeta hai jo waaN se yahaN aaya!

10. lay tawq-e-alam say ab aazaad ho ay qumri
chiTThee liye bakhshish ki woh Sarwar rawaaN aaya

11. Naama say Raza kay ab miT buray kaamo
dekh meray pallah par woh Acchay Mian aaya

12. Badkaar Raza khush ho bad kaam bhalay hongay
Woh Acchay Mian pyaara acchoN ka miyaaN aaya!

Raman Lyrics

Kushiyon ki bahaaren laaya
Ramzan mubarak aaya...
dil joom ke mera gaaya
Ramzan mubarak aaya..

Qur'aa ki tilawat hogi
bhar pur ibaadat hogi
Quraan ka tohfa laaya
Ramzan mubarak aaya

sehri ki ajab raahat he
iftar me wo ronaq he
ik kaif ajab he chhaya
Ramzan mubarak aaya

roze ki ye lazzat dekho
na pyas ki shiddat he wo
kya sabr he hum ne paaya
Ramzan mubarak aaya

Ramzan to he oos ki
ho saath me maa jiski
''turkee'' ne to ashk bahaya
jab Ramzan mubarak aaya

Allah meri maan ko
Ramzan ke sadqe me
sab maaf gunah karde
jannat bhi ataa karde
zahra ka mile saaya
Ramzan mubarak aaya