Friday, August 5, 2011

Ramazan Lyrics

1. Shor-e-mah-e-nau sun kar tujh tak main dawaaN aaya
Saqi main tere sadqay, mai day, Ramazan aaya!

2. Is gul kay siwa har phool baagosh giraaN aaya
Dekhe hi gee ay bulbul jab waqt-e-faghaaN aaya

3. Jab baam-e-tajjali par woh naiyyar-e-jaaN aaya
sar thaa jo gira jhuk kar, dil thaa jo tapaaN aaya

4. Jannat ko Haram samjha aatay to yahaaN aaya
Ab tak kay har aik ka munH kehta hoon kahaaN aaya?

5. Taiyyiba ke siwa sab baagh paamaal-e-fanaa hongay
Dekho gay chaman walo jab ahd-e-khizaaN aaya!

6. Sar aur woh sang-e-dar, aankh aur woh bazm-e-noor
Zaalim ko watan ka dhyaan aaya to kahaaN aaya

7. kuchh naat ke tabqay ka aalam hi niraala hai
sakta mein paRee hai `aql,chakkar mein gumaaN aaya!

8. jalti thi zameen kaisee thi, dhoop kaRee kaisee
lo, woh qad-e-bay-saaya ab saaya-kinaaN aaya!

9. Taiyyiba se hum aatay hain kehiye to jinaaN waalo
Kya dekh kar jeeta hai jo waaN se yahaN aaya!

10. lay tawq-e-alam say ab aazaad ho ay qumri
chiTThee liye bakhshish ki woh Sarwar rawaaN aaya

11. Naama say Raza kay ab miT buray kaamo
dekh meray pallah par woh Acchay Mian aaya

12. Badkaar Raza khush ho bad kaam bhalay hongay
Woh Acchay Mian pyaara acchoN ka miyaaN aaya!

No comments:

Post a Comment