Allah Hu, Allah Hu
Author: JANAAB MUHAMMAD A?ZAM CHISHTI
Artist: N/A
Album: N/A
Language: Urdu
Hamd: Allah Hu, Allah Hu
The main line to be repeated by the Na?at Khwaan is as follows: ALLAH HU, ALLAH HU, ALLAH HU, ALLAH HU
1. PUCHA GUL SE YEH MAYNE KE AEY KHOOBROO
2. TUJH MEI(N) AAI KAHAA(N) SE NAZAAKAT KI KHOO
3. YAAD MEI(N) KIS KI HANSTA MAHEKTA HAI TU
4. HANS KE BOLA AEY TAALIBE RANGO BOO
ALLAH HU
5. ARZ KI MAYNE SUMBAL SE AEY MUSHK BOO
6. SUBH KO KAR KE SHABNAM SE TAAZA WUZU
7. JHOOM KAR KAUN SA ZIKR KARTA HAI TU
8. SUN KE KAR NE LAGA DAM BADAM ZIKR HU
ALLAH HU
9. MAYNE PUCHA YEH PARWAANE SE DOOBA-DOO
10. KIS LIYE SHA?MA? KI LO PE JALTA HAI TU
11. SHOLAAEY NAAR MEI(N) KIS KI HAI JUSTUJOO
12. JALTE, JALTE KAHA US NE YA NOOR HU
[ www.thenasheedlyrics.com ]
ALLAH HU
13. JAB KAHA BULBUL SE AEY KHUSH GULU
14. KYO(N) CHAMAN MEI(N) CHAHEKTA HAI TU CHAAR SU
15. DEKH KAR GUL KISE YAAD KARTA HAI TU
16. WAJD MEI(N) BOL UTHA WA?AHDUHU WA?AHDUHU
ALLAH HU
17. AAZAMI GARCHE BEHAD GUNAHGAAR HAI
18. MUJRIMO BEAMAL HAI KHATAAKAAR HAI
19. HAQQ TA?ALA MAGAR AISA GHAFFAAR HAI
20. USKI REHMAT KA NAARA HAI LA TAQ NATU
ALLAH HU
Meanings:
Line 1: KHOOBROO = KHOOBSOORAT
Line 4: TAALIBE = TALAB KAR NE WAALA
Line 4: RANGO BOO = RANG AUR BOO PASAND KAR NE WAALI
Line 5: SUMBAL = Flower
Line 6: SHABNAM = Morning due
Line 9: DOOBA-DOO = AAMNE SAAMNE
Line 11: NAAR = Fire
Line 11: JUSTUJOO = Search
Line 13: KHUSH GULU = ACHCHE GAANE WAALI
Line 13: GULU = Throat / neck
Line 20: LA TAQ NATU = Refers to the well known Aayaat 53, in the Surah ?ZUMAR? of the Holy Qur?an. ?ALLAH KI REHMAT SE KABHI NA UMMID NA HO?. Meaning ?Despair not of the mercy of Allah?.
No comments:
Post a Comment